Friday, March 6, 2009

My Best Birthday Gift


I got this dedication from one of my closest friends and i feel honored........ and it was my best birthday gift.
Kuch jazbaato ko byaan karna asaan nahi hota

aur dil me daba ke rakha to dil ko araam nahi hota

Teri taareef me lafz jud nahi paate

likho kabhi panno par, to wo udd nahi paate

Wazan rishte ka naapna asaan nahi hota

Yaadon ke alaawa aur koi nishaan nahi hota

Dosti bhi kuch ajeeb cheez hoti hai

kabhi naraaz kabhi azeez hoti hai

ruthe jo kabhi koi yaar to manana asaan nahi hota

aur jhagda na ho to dil ko araam nahi hota.. ;)

Tere jaisa yaar paakar main aur ek paheli me ulajh gaya hu...

Kabhi lagta hai abaad, to kabhi lagta hai bujh gaya hu ;)

Har rang se wakif karana asaan nahi hota

tera bagair mera jahaan gulistaan nahi hota..

Janamdin mubarak ho!! :)


And till you verify the authenticity of this poem, you listen to this song :"ek ladki ko dekha to aisa laga...jaisa khilta gulaab, jaise shayar ka khwaab, jaise ujli kiran...."



by yamini. :)

No comments: